Wo waqt jise
pana tha
Wo waqt kabka guzar gaya
Mere hath
ke lakiro mein
Tu bita hua
kal reh gaya
Mai gira
bhi aur sambhla bhi
Tujhe bhulkar, yaad aaya bhi
Kitab ke
panno me jaise
Mai banke syahi bikhar gaya
Wo pal jo tera
aur mera tha
haathon
se yuhin fisal gaya
Mai dhundata
raha andhero me
Mera ujala
koi aur le gaya
Mai darr
kar chipa to nahin tha
Par teri talash ka
Mai kabhi hissa
nahi tha
suni thi
teri khaniyan maine
tere sath k
lamhe bhi dauraye the
kuch
dhundla sa yaad aata hai kabhi
wo kissa jo
shayad adhura reh gaya
No comments:
Post a Comment