Kisse banke reh jaate hain rishte aksar
Zindagi bhar tak kam hi sath nibhate hain
Mai na pukaru agar to kya dhundega mujhe
Dil me kai aise sawaal uth jaate hain
Kabhi ehsaas to kabhi andaaz badal jaate hain
Pyar to hai kahin daba hua sa
Par dikhane me arse guzar jaate hain
Jo dil me hai wo dil me hi reh jaate hain
Chhupate chhupate mauke nikal jaatehain
Kuch baateinn kuch iraadein ho jaate hain
Khud ko rok lene ki haalatein ho jaate hain
Jab kehne ko ho baatein bahut
Gaur karna lab khamosh hojaate hain
Kya yakin hai thamoge tum
ye hath jo tere orr badh jaate hain
Pareshan kar raha hai mera hona bhi tumhe
Tere kehne se pehle chalo door ho jaate hain
Reh jo gaye hain kuch ehsaas dil me
Use ek ehsaas ki tarah chalo bhul jaatein hain
Ye kehne ki hi hai baatein saari
Socha chalo dil ko kisi tarah mana lete hain
Tu yaad har dum rahega mujhe
Kuch rishte sirf dil me hi jeeye jaate hain
Ye milke bichadne ke silsile jo hua karte hain
Na jaane kitne dil yuhin tut jaya karte hain
Tu door hokar yun pass jo chala aata hai
Na rok paun aisi ummidein jaga jaata hai
Ek baar gale se hi laga le mujhe
God me sar rakh ne de pyar sulade mujhe
Dabi ye saari khawahishein puri ho jaane de
Tham le hath mera khudke kareeb aa jaane de
Khair ye saari to meri chahte hain
Tujhe manzoor nai to kaise manglu
Teri zikr pe yuhin jazbaat umad aate hain.
Kabhi dhundna jo chahoge apne paas hi paoge
Tujhse door kabhi kahan ho paate hain
No comments:
Post a Comment